Popular Posts

Monday 26 November 2012

“KYU”


Kyu kisika intezar karna acha lagta hai
Akele mai apne aaap se baate karna acha lagta hai
Uske baare mai har pal sochna acha lagta hai
Ho jaye use kuch to dard humko hota hai
Wo na maane hamari baat to gussa aata hai
Par fir bhi mann uske liye hi atka rehta hai
Jaane hai ye kesa rishta jo baandhe hai hume ek dor se
Juda hoke bhi hume itna paas rakhta hai
Ek dusre se har pal jode rakhta hai
Khamoshiya keh jaati hai kai baate
To kabhi sabdh bhi adhure reh jaate hai
Aur nahi kar paate bayan ye dil ki kas-m-kash
Kyu koi hume itna acha lagta hai
Kyu wo humse itna dur hota hai
Milne ki ikcha har waqt zehan mai hoti
Par mai yaha aur wo waha rehta hai L
Kyu aksar hamare sath hi aisa hota hai

No comments:

Post a Comment